ye zindgi ek paheli hai,
log milte hain bichhdte hain,
koi mohbbat ke saath to koi bewafai ke saath,
par saath jarur hota hai,na jane kyun.
aur kuchh nahi hota to bas jawab,
un uljhe huye sawalon ka,
bina manzil rahon mein bhatkne ka,
un yadon se,un khwabon se,
jo dekhte hain log,apne liye,doosron ke liye.
aur muskurati hai zindgi,
kabhi sapno ko todkar,to kabhi use jodkar.
aur nirantar chalti rahti hai,
manzil ki talash me,
thik us nadi ki tarah,jiski manzil hai sagar,
par zingi ka manzil,koi nahi janta.
ye zindgi ek paheli hai.
with love
NITISH
0 Comments
पोस्ट कैसी लगी कमेंट करके जरूर बताएँ और शेयर करें।